Al-Maʻārij The Ascending Stairways

 



Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1:        Mangne waley ne azaab maanga hai (woh azaab) jo zaroor waqey honay wala hai

2:        Kafiron ke liye hai, koi usey dafa karne wala nahin.

3:        Us khuda ki taraf se hai jo urooj ke zeeno (ascending steps)ka malik hai.

4:        Malaika (angels) aur rooh(Jibrael) uske huzoor chadh kar jatey hain ek aise din mein jiski miqdar pacchas (fifty) hazar saal hai

5:        Pas aey Nabi, sabr karo, shaista sabr

6:        Yeh log usey dur samajhte hain

7:        Aur hum usey qareeb dekh rahey hain.

8:        (woh azaab us roz hoga) jis roz aasman pigli huye chandi ki tarah ho jayega

9:        Aur pahad rang-bi-rang ke dhunke huey oon (wool) jaise ho jayenge

10:      Aur koi jigri dost apne jigri dost ko na puchega

11:      Halaanke woh ek dusre ko dikhaye jayenge, mujrim chahega ke us din ke azaab se bachne ke liye apni aulad ko

12:      Apni biwi ko, apne bhai ko

13:      Apne qareeb-tareen khandaan ko jo usey panaah dene wala tha

14:      Aur rooh-e-zameen ke sab logon ko fidiya (badle) mein dey-de aur yeh tadbeer usey nijaat dila de.

15:      Hargiz nahin woh to bhadakti hui aag ki lapat hogi

16:      Jo gosht posht ko chaat jayegi

17:      Pukar pukar kar apni taraf bulayegi har us shaks ko jisne haqq se mooh moda aur peet pheri

18:      Aur maal jamaa kiya aur seint seint kar (amassed wealth) rakkha

19:      Insan thud-dila (impatient) paida kiya gaya hai

20:      Jab uspar museebat aati hai to ghabra uthta hai

21:      Aur jab usey khush-haali naseeb hoti hai to bukhl (kanjoosi) karne lagta hai

22:      Magar woh log (is aib se bache huey hai) jo namaz padne waley hain

23:      Jo apni namaz ki hamesha pabandi karte hai

24:      Jinke maalon mein

25:      Saahil (maangne waley) aur mehroom ka ek haqq mukarrar hai.

26:      Jo roz-e-jaza ko barhaq maante hain

27:      Jo apne Rubb ke azaab se darte hain

28:      Kyunke unke Rubb ka azaab aisi cheez nahin hai jissey koi bekhauf ho

29:      Jo apni sharmgahon ki hifazat karte hain

30:      Ba-juz apne biwiyon ya apni mamluka aurton ke jinse mehfooz na rakhne mein unpar koi malamat nahin

31:      Albatta jo iske alawa kuch aur chahein wahi hadd se tajawuz karne wala hai.

32:      Jo apne amanaton ki hifazat aur apne ahad (covenant) ka paas karte hai.

33:      Jo apni gawahiyon mein raast baazi (upright) par qayam rehte hain.

34:      Aur jo apni namaz ki hifazat karte hain

35:      Yeh log izzat ke saath jannat ke baaghon mei rahenge.

36:      Pas aey Nabi , kya baat hai ke yeh munkirin dayein(left) aur bayein(right) se

37:      Giroh (crowds) dar giroh(crowds) tumhari taraf daude chale aa rahe hain?

38:      Kya inmein se har ek yeh lalaj rakhta hai ke woh niyamat bhari jannat mein daakhil kardiya jayega?

39:      Hargiz nahin humne jis cheez se inko paida kiya hai usey yeh khud jaante hain

40:      Pas nahin, main qasam khata hoon mashrikon aur maghribon ke maalik ki hum ispar qadir hain

41:      Ke inki jagah insey behtar log le aayein aur koi humse baazi le jaane wala nahin hai

42:      Lihaza inhein apni behuda baaton aur apne khel mein pada rehne do yahan tak ke yeh apne us din ko pahunch jayenge jiska insey waada kiya ja raha hai.

43:      Jab yeh apni qabron se nikal kar is tarah daude ja rahey hongey jaise apne buthon (idols) ke aasthano (altars) ki taraf daud rahey hon

44:      Inki nigahein jhuki hui hongi, zillat inpar chaa rahi hogi, woh din hai jiska insey wada kiya ja raha hai.